Tuesday, March 1, 2016

Mera Desh


MERA DESH :-Mera Desh BHARAT  jo Sanskriti aur sabhyata ka Samavesh hai.
                                         Hamari sabhyata 5000 saal se bhi adhik purani hai. 

mera  desh  jahan Hindu,Jain,Buddh,Sikh,Muslim,Isai..dharm  ke  log niwas karte hai.Humare desh me lagbhag  1,652 Languages boli jaati hai jo humare desh ki mahanta ko batati hai.

Unity in diversity :-Vibhinnata me ekta ka matlab hai ki humare desh me kai prakar ke jaati,dharm,sabhyata ke log niwas karte hai phir bhi yahan aapas me log mil julkar rehta hai. Ek chat(roof) ke niche yahan har dharm ke log aastha purvak aapne dharm ka nirwah karte hai.

Balidaan(Sacrifice) :- Is desh ke lie samay samay par kai mahapurusho ne aapna balidan dia hai jinhone aapne rakt se is desh ka Itihas likha hai.

Maharana Pratap Jinhone aapna Sarvasv is desh ko newchawar kar dia,unhone  jungalo me rehna swikar kia lekin  Unhe Akbar ka sasan swikar nahi kia,Akbar jiski mahatwakanchao ki wajah se lakho log aapne pran gawa chuke the,Mahrana pratap ne jindagi bhar Akbar se yudh kia lekin uska Sasan swikar nahi kia aur aant me unhone aapne rajya ko akbar ke changul se mukt kia.

Tipu Sultan jinhone British ke samne aapne ghutne kabhi nahi teke,unhe British ke vishal Sena se larna manjoor tha lekin aapni bhumi aapne logo ko chorna nahi,we lade aur aant tak ladte hai,lekin ghutne nahi teke.

Shivaji jinhone apne saurya aapne balidaan ka parichay dete hur Bharat lagbhag Mughalo ke aatyacharo se mukt karwaya aur saanti ki sthapna ki.

Is desh ka itihas na jane kitne hi Aise balidaano dwara likha hai,Jisme Hindu,Muslim,Sikh,Isai,Jain,Budh sabhi dharm ke logo ka rakt sammillit hai.

Hume ise bekar nahi jaane dena chahie choro jaati dharm aao milkar is desh ka itihash rache...ye hum sabka desh hai aur hum is desh ke bete(SON).


Jai Hind